mere marne ki bhi un ko na khabar di jae kis liye apnon ko taklif-e-safar di jae lakh ko le ke chalen ghair badi shan ke sath ghar se le ja ke ye chaurahe pe dhar di jae umr bhar tu ne ata ki hai mai-e-hosh-ruba waqt-e-akhir hai mai-e-hosh-asar di jae sim-o-zar se na sahi sabr-o-qanaat se sahi mujh se khuddar ki jholi bhi to bhar di jae gham se gham ho na khushi se ho khushi ka ehsas aisi tadbir bhi ai dil koi kar di jae tab kahin ja ke mile manzil-e-irfan ka nishan jab nigahon ko zaban dil ko nazar di jae dil ki hai kushta-e-bedad-e-falak ai 'sahir' is ko tabani-e-khurshid-o-qamar di jae