mere mathe pe likho bakht se haara hua hai ek zabardast zabardast se haara hua hai haarte haarte sab haar gaya ishq mein main sab samajhte hain magar dasht se haara hua hai dekhna chahta hai ped pe phalte hue phul ek patta jo tere takht se haara hua hai ab jo hijran mein mujhe deta hai tawilen bahut zehn wo jo dil-e-kam-bakht se haara hua hai dasht-e-imkan khula mujh pe to malum pada har koi dil ke dar-o-bast se haara hua hai main samajhta hun zamane ka ishaara 'ahmad' aur yahan kaun hai jo dasht se haara hua hai