mere mazar pe aa kar diye jalaega wo mere baad meri zindagi mein aaega yahan ki baat alag hai jahan-e-digar se main kaise aaunga mujh ko agar bulaega mujhe hansi bhi mere haal par nahin aati wo khud bhi roega auron ko bhi rulaega bichhad ke is ko gae aaj tisra din hai agar wo aaj na aaya to phir na aaega faqih-e-shahr ke bare meri rae thi gunahgar hai patthar nahin uthaega isi tarah dar-o-diwar tang hote rahe to koi apne liye ghar nahin banega hamare baad ye dar-o-rasan nahin honge hamare baad koi sar nahin uthaega