mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai main pata laga chuka hun tu kahan kahan chhupa hai mujhe kaun sar-bulandi ki taraf bula raha hai mera nargisi takhayyul to shikast kha chuka hai tujhe qatilon ke narghe se chhudaega na koi ye hai maqtal ai musafir tu kise pukarta hai sar-e-sham jo gharibon ke diye bujha rahi hain unhin sazishon ka markaz ye teri mahal-sara hai koi mausami parindon se kahe idhar na aaen abhi mere gulistan ki badi muzmahil faza hai sun ai meri pyari duniya meri be-qarar duniya tera dard-mand shair tere git ga raha hai wo ba-zoam-e-khud gulistan ka hai sarbarah 'dauran' jo wo chahe so karega use kaun rokta hai