mere raqib se hans kar kalam karte hue guzar gaya hai wo mujh ko salam karte hue ajab ki dubne wala to mutmain hai magar dara hua hai samundar ye kaam karte hue wo jis ke samne saste mein rakh diya khud ko ulajh pada hai wo gahak bhi dam karte hue mere wajud pe qabiz hua wo pal bhar mein nazar ki tegh se dil ko ghulam karte hue bache-kuchhe se ye pal bhi guzar hi jaenge kisi ki yaad mein sahil pe sham karte hue qasam khuda ki ye girya na dekh paunga khushi se jaiye rishta tamam karte hue 'zaki' ye pyar hi pahchan ban gaya meri main khas ho gaya ulfat ko aam karte hue