mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai chaman mein ghaaliban waqt-e-sahar hai chala jata hun aksar shahar walo bayaban mein bhi mera ek ghar hai jo chehre par nazar aati hai mere meri rangat nahin gard-e-safar hai koi tikta nahin dil mein ziyaada ye goya ghar nahin hai rahguzar hai nazar aate hain bas aamal sab ko mere ahwal par kis ki nazar hai agar 'anwar-shuur' aisa kare to nazar-andaz kar dena bashar hai