mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin aap ko jaanta hun main ghair se wasta nahin dekh tu ai nigah-e-dost kya tujhe dil diya nahin kaun hai mujh se aashna tu agar aashna nahin dil ko sukun kar ata jaan ko bakhsh de qarar tere karam ki der hai dard ye la-dawa nahin jis se na ho mera guzar rah nahin teri rahguzar jis pe na mera sar jhuke wo tera naqsh-e-pa nahin chashm-e-karam ka shukriya pursish-e-gham se faeda kya meri bebasi ka haal aap par aaina nahin ek hasin ahd ki yaad dila ke rah gai un ki nazar ne dil se aaj aur to kuchh kaha nahin kyun na karam ke waste aap se iltija karun aap bataen kya mujhe aap ka aasra nahin dil mein hai aks aap ka lab pe hai nam aap ka aap ka 'muztar'-e-hazin aap ko bhulta nahin