mere zakhmon meri ruswai ko wapas le le is sulagti hui tanhai ko wapas le le ilm aae na agar kaam kisi muflis ke aa ke mujh se meri danai ko wapas le le ya to sach kahne pe suqraat ko mare na koi ya to sansar se sachchai ko wapas le le chikh utthe hain mere ghar ke ye khali bartan ab to bazar se mahngai ko wapas le le ya to har samt ye dahshat ke nazare na dikha ya meri aankhon se binai ko wapas le le ya to insan ke har zakhm ko bhar de maula ya to duniya se masihai ko wapas le le shahid-e-jurm ho phir bhi na lahu khaul uthe aise khamosh tamashai ko wapas le le bazm-e-baatil mein bhi himmat rahe haq-goi ki ya meri taqat-e-goyai ko wapas le le