meri aankhen meri ninden mera paikar jage dard so jae to ehsas barabar jage din to ahbab ki surat hai gurezan mujh se raat aae to mere gham mein barabar jage kitne manus hain masjid ke shikasta gumbad jab parinde nahin laute to ye shab-bhar jage jeth ki dhup ne jhulsa diye jin ke chehre un darakhton hi ke sawan mein muqaddar jage raat gulshan mein 'ajab tarh ka mahaul raha ped sote rahe shakhon pe kabutar jage kab se sahil pe hai be-khwab barahna machhli phir shanawar koi dube to samundar jage jis ke ehsas ne jhulsa diye suraj ke gulab meri aankhon mein usi dhup ke manzar jage