meri aankhon ke wo Thahre hue pani mein rahte hain

meri aankhon ke wo thahre hue pani mein rahte hain
zamana be-adab hai meri nigarani mein rahte hain

basa lete hain jo aankhon mein sapne aashiyanon ke
hamesha wo parinde hi pareshani mein rahte hain

ghata muhtaj rahti hai teri aankhon ke kajal ki
hansi ke karwan phulon ki afshani mein rahte hain

main chhod aaya tha aankhen muntazir un ke dariche mein
hamesha wo isi jurat pe hairani mein rahte hain

jhalak hai ghuncha-o-gul ke lahu ki us ki aankhon mein
ajab mali hai jis ki hum nigahbani mein rahte hain

khuli aankhen bhi hon milna sanbhal kar phir bhi ai 'rahat'
darinde bhi chhupe ab jism-e-insani mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close