meri bayaz ko sheron se tum saja dena main ek wahm hun mujh ko yaqin bana dena bana ke koi kahani hamari hasti ki nadi mein kaghzi kashti koi baha dena bahut sambhaal ke rakkha hai main ne phulon ko jo ho sake inhen gul-dan mein saja dena chala gaya jo kabhi laut kar nahin aaya main laut aaungi mujh ko zara sada dena andhera dhundhta rahta hai meri parchhain jale charagh to chadar mujhe odha dena kitaben so nahin paengi mere baad kabhi hua tu aa ke inhen loriyan suna dena bikhar ke rah gai zarraat-e-gham mein 'shaista' tere qalam se nai shakl ek bana dena