meri be-zabani zaban ho na jae nihan hai jo dil mein ayan ho na jae wo mujh par kahin mehrban ho na jae mata-e-sukun raegan ho na jae sitaron se aage qadam rakhne walo zamin-e-sitam aasman ho na jae kahin meri rudad-e-dard-e-mohabbat meri jaan teri dastan ho na jae meri jurat-e-arz husn-e-tamanna kahin un ke dil par garan ho na jae adawat mazalim tasadum se 'waris' jahannum pe jannat-nishan ho na jae