meri betabi ki us dil ko KHabar kyunkar ho

meri betabi ki us dil ko khabar kyunkar ho
aah ka dosto patthar mein asar kyunkar ho

na siri is mein na paikan jo khinchun us ko
dil se bahar ye mera tir-e-nazar kyunkar ho

ek dam tujh se jo hote the juda rote the
sabr duri mein teri aath pahar kyunkar ho

ham-nashin shaghl na howe jo hamein rone ka
to bhala hijr mein auqat basar kyunkar ho

jeb sita hai to kya ye to bata ai naseh
chaak ho jawe to paiwand-e-jigar kyunkar ho

shama san jal ke bujhe to bhi na dekha us ne
kya karen ab mutawajjah wo idhar kyunkar ho

al-aman dekh ke dilbar ko malak kahte hain
aah phir ohda-bara is se bashar kyunkar ho

tu rahe ghair ke aaghosh mein jab sari raat
phir to rahat hamein ai rashk-e-qamar kyunkar ho

na wo rangat hai na wo us mein nazakat pyare
tere honton se mushabah gul-e-tar kyunkar ho

apne nazdik bhi aane nahin deta wo mujhe
dil mein aise but-e-ayyar ke ghar kyunkar ho

tuk sanbhaal apne tain faeda ghabrae se
hijr ki raat hai 'afsos' sahar kyunkar ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close