meri din ke ujalon par nazar hai sitaron ka karishma raat bhar hai wo hansta hai magar rukhsar nam hain ye shayad pichhle mausam ka asar hai kisi ki aib-jui hi kiya kar abhi ke daur mein ye bhi hunar hai yahan ke sare mausam ek se hain yahi is shahr ki taza khabar hai sipahi jang se kab lautte hain wo koi aur hai zinda agar hai akela raat ko din kar raha hun meri gardish mein shamil har bashar hai ye jugnu kal ka suraj dewta hai magar ye tirgi par munhasir hai khuda to ek hai lekin suna hai zamana ek ke aage sifar hai