meri giraft mein hai taer-e-khayal mera magar udae liye ja raha hai jal mera yaqin itna nahin mera jitna nabz ka hai meri zaban se sunta nahin wo haal mera kamal ki wo imarat meri hui mismar khandar ki shakl mein baqi raha zawal mera faza mein jhonk de aandhi ke baad pani bhi udai khak to ab khun bhi uchhaal mera zaban apni badalne pe koi raazi nahin wahi jawab hai us ka wahi sawal mera main sar kiye hue baitha hun ek nai choti kuchh aur fasle se dekh ab kamal mera