meri hatheli mein likkha hua dikhai de

meri hatheli mein likkha hua dikhai de
wo shakhs mujh ko ba-rang-e-hina dikhai de

use jo dekhun to apna suragh paun main
isi ke nam mein apna pata dikhai de

rawish pe jalen us ki aahaton se charagh
ajab khiram hai aawaz-e-pa dikhai de

jo mehrban hai to kya mehrban khafa to khafa
kabhi kabhi to wo bilkul khuda dikhai de

saman saman hai dhundalka dhuan dhuan manzar
jidhar bhi dekhun bas ek khwab sa dikhai de

junun ne bakhsh din nazron ko wusaten kya kya
ki zarre zarre mein sahra bichha dikhai de

na meri tarah koi dekh le use 'bilqis'
main kyun bataun mujhe us mein kya dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close