meri jaan ranj ghataiye qadam aage ab na badhaiye idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye khade kab se hum sar-e-rah hain kahin mar chuken ki tabah hain hadaf-e-khadang-e-nigah hain zara aankh idhar bhi milaiye bhala aana aap ka kaam hai ye ghalat tamam kalam hai aji bas hamara salam hai kahin aur baaten banaiye tah-e-tegh tez hai ek jahan koi kushta hai koi nim-jaan jo na ho daregh tu mehrban koi hath idhar bhi lagaiye kabhi mai se munh ko na modiye hawas-e-sharab na chhodiye sar-e-mohtasib hai na todiye jo kamal-e-ghaiz par aaiye ye kamal-e-lutf hai saqiya yahi hai hawas yahi muddaa rahe hosh-e-sar na khayal-e-pa agar aisi mai hai to laiye jo wufur-e-chashm-e-pur-ab ho to jahan takhta-e-ab ho abhi nuh ka sa azab ho agar ashk chand bahaiye wo kaha adu se hai main ne kya ki hue hain aap jo yun khafa ye ghazab ye jhut ye iftira mere samne to bulaiye ghazal aisi kaamil-e-wazn sun mutafailun mutafailun hai 'nasim' taqat-e-hosh sun koi sher aur sunaiye