meri khak nur hi nur hai ki harif-e-jalwa-e-tur hai dil-e-be-qarar mein tu ne kya ye charagh-e-ishq jala diya mujhe fikr-e-daur-e-khizan ho kya ki main na-shanas-e-bahaar hun gham-e-dil ka shukr-guzar hun mujhe dars-e-zist sikha diya hai natija-khez meri fughan ki ye dil-jalon ki hai dastan karen anjuman mein agar bayan to jahan mein hashr utha diya jo jahan mein naqsh-e-jamil hai teri shokhiyon ka qatil hai ye to khel-e-rabb-e-jalil hai ki bana ke khud hi mita diya jise ishq kahte hain haq-nigar meri khalwaton ka hai chaaragar kisi dil ke saz ko chhed kar koi naghma us ne suna diya ho khamosh ab to fasana-khwan nahin achchha sabr ka imtihan ki suna ke dard ki dastan kisi gham-zada ko rula diya main hun ek ‘saib’-e-be-nawa mera dil hai kitna bujha hua jo kabhi tha main ne suna hua tere ishq ne wo dikha diya