meri KHamoshi hi kaam aai kaha jata hai

meri khamoshi hi kaam aai kaha jata hai
is ko andaz-e-shakebai kaha jata hai

bhid mein ek badan aap se manus na ho
bas yahi waqia tanhai kaha jata hai

teri jaanib se jo hote hain ishaare un ko
ishq mein hausla-afzai kaha jata hai

meri wahshat ne andhere mein use dhundh liya
ab usi tab ko binai kaha jata hai

tere aariz ko jo aati hain hawaen chhu kar
un ko is des mein purwai kaha jata hai

kah diya tha mere jis lahje ko duniya ne fuzul
ab wahi sher ki gahrai kaha jata hai

lafz-arai ka to mujh mein hunar hai lekin
mujh ko aati nahin goyai kaha jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close