meri nigah ko jalwon ka hausla de do guzar-basar ka koi bhi to aasra de do tumhaari bazm se jata hai na-murad koi safar-ba-khair ki jaan-e-wafa dua de do ata pe harf na aa jae mangne se mere khuda ho mere to phir hasb-e-muddaa de do mita do meri nigahon se tum nuqush tamam wagarna dusra mujh ko ek aaina de do fareb-e-sharh-e-tamanna bhi kha le ab ye dil labon ko jurat-e-izhaar-e-muddaa de do junun-nawaz-o-junun-khez-o-sad-junun-saman tum apne jalwon ko aisi koi ada de do adu ko shikwa-e-lazzat koi na rah jae mere lahu ko kuchh aisa hi zaiqa de do ghazal ki aabru tum ho ghazal mujhe mahbub shuur-e-fikr ko uslub-e-khush-numa de do ye dil to dushman-e-jaani hai ek muddat se jo gham-nawaz ho aisa gham-ashna de do libas-e-kohna ghazal ka utar kar 'tarzi' ba-faiz tab-e-rasa ek nai qaba de do