meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho

meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho
tere karam ka agar silsila daraaz na ho

umid chashm-e-taghaful-shiar se kab thi
is iltifat-e-farawan mein koi raaz na ho

hamare haal-e-pareshan pe ek nazar bhi nahin
niyaz-mand se itna tu be-niyaz na ho

kisi ne tod diye barbat-e-hayat ke tar
ab aur kya ho agar aah-e-jaan-gudaz na ho

nazar na aae kahin ye bahaar ka aalam
agar tasawwur-e-ru-e-chaman-taraaz na ho

chala to hai magar ai rahraw-e-rah-e-irfan
haqiqaton ki bhi manzil kahin majaz na ho

jo us ke husn ki parchhaiyan na aaen nazar
to ruh garm-e-tawaf-e-harim-e-naz na ho

hai ek fitna-e-bedar husn-e-khwabida
sambhal ki ghat mein wo chashm-e-nim-baz na ho

shab-e-firaq na kate kate kabhi 'muztar'
khayal-e-dost agar gham mein dil-nawaz na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close