meri shikast ka bais ye iftiKhaar bhi tha

meri shikast ka bais ye iftikhar bhi tha
jo tha harif wahi apna raazdar bhi tha

ye aur baat tawajjoh na tum ne di warna
tumhaare chahne walon mein khaksar bhi tha

mile the mujh se ba-zahir bade tapak se log
tabiaton mein ba-baatin magar ghubar bhi tha

gae the tum bhi to us but ke khair-maqdam mein
magar tumhaara kisi mad mein kuchh shumar bhi tha

tamam umr asiron ki tarah jite rahe
hamare gird yaqinan koi hisar bhi tha

samaaton ke tajassus se ye hua mahsus
hamari tul-kalami mein ikhtisar bhi tha

hayat ke sabhi shobon mein dastaras thi use
bada zahin tha dana tha burdbar bhi tha

isi liye use saunpa gaya tha kar-e-jahan
kisi ko us pe bharosa tha eatibar bhi thi

tere sukut pe dil ki ajab thi kaifiyyat
wo pur-sukun bhi tha aur be-qarar bhi tha

bade farishta-sifat the tumhaare shahr ke log
dilon mein dard mizajon mein inkisar bhi tha

khush aa gai hai ai rahbar supurdagi warna
kamin-gahen bhi thin jada-e-farar bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close