meri shikast ne mujh ko bahut tawana kiya zamin-bos hua aur falak nishana kiya sawad-e-lafz pe mani ka pairahan rakkha uthaya sher faza mein use tarana kiya tariq-o-taur rakha ishq mein ajib-o-gharib raqib se bhi marasim ko mahramana kiya hamin the jo ki makan-dar-makan makin na hue pa taeron ne jahan chaha aashiyana kiya wo kaun zamzama-paira hua tha aakhir-e-shab ye kis ne aakhir-e-shab raqs-e-dil-barana kiya ye meri qadr-o-qaza hai ki sar-buland raha agarche jo bhi kiya main ne baghiyana kiya hamara malja-o-mawa hi kya ki arz karen tumhaare dast-e-karam ne use khazana kiya ye hast-o-bud ka jab silsila tamam hua tamam arz-o-sama phir se zar-fishana kiya yaqin hai ki hua hoga kaise shaqq-e-qamar yaqin hai un ne ajab kar-e-munsifana kiya wo arsh-o-farsh pe zahir nahin ki baatin hain jo un se ishq kiya hum ne ghaebana kiya 'anis' ishq karo han zamin se ishq karo abhi talak jo kiya tum ne aamirana kiya