meri surat mein mera yar hai allah allah mere dil mein mera dildar hai allah allah kya hi taswir bani hai ye aha ha ha ha is mein aapi wo numudar hai allah allah shakl-e-adam ke siwa aur na bhaya naqsha sare aalam mein ye izhaar hai allah allah mera jism aur meri jaan hai wahi jaan bilkul main kahun kya ki main hun yar hai allah allah masti-e-har-do-jahan hai dil-e-adam se ayan yahi behosh to hoshyar hai allah allah jis ko nisbat ho payambar ki wahi ho aagah meri baaton mein jo asrar hai allah allah khaka murshid ka hawa mein to hua yar ayan ye ajab faiz ka darbar hai allah allah qissa qarnon mein na tai hota wo dam-bhar mein hua fazl murshid ka ye izhaar hai allah allah shah-e-'mardan' na koi aur na khadim na safi shakl-e-ahmad ka ye izhaar hai allah allah