meri talash mein har sham har sahar aaya mere wajud mein kya jaane kya nazar aaya na jaane kaunsa qissa kaha tha dilbar ne jo un ki bazm se aaya wo chashm-e-tar aaya usi ke naqsh-e-qadam par rawan zamana hai wo naqsh-e-pa jo har ek rah mein ubhar aaya wajud se mere inkar karne walon ko hawadisat ne ghera to yaad farmaya sila ye husn-e-amal ka 'hilal' paya hai shajar jo hum ne ugaya wo be-samar aaya