meri wahshat mujhse puchhegi to batlaunga main

meri wahshat mujh se puchhegi to batlaunga main
swang jo tum ne sikhae wo bhi dikhlaunga main

kis ne diwana banaya nam batlaunga main
dasht-o-dariya se bhi aage baat phailaunga main

khwab tum dikhlaoge to khwab dikhlaunga main
donon jaanib khwab ke parcham bhi lahraunga main

na-rasai ka koi shikwa nahin shikwa ye hai
kya khayal-e-kham hi se dil ko bahlaunga main

ai shab-e-furqat tumhein mujh se shikayat to nahin
gar chale jaoge tum bhi kitna ghabraunga main

ek sumum-e-gard-asa chal rahi hai chaar-su
chaar-su barish liye tum dekhna aaunga main

ek andhera chaar jaanib barishon ke darmiyan
barishon ke darmiyan shoala-sa lahraunga main

panw hain aamada-e-sair-o-safar manzil-ba-dast
kya tumhein lagta hai ab bhi laut kar aaunga main

raste masdud jab ho jaenge khatm-e-safar
aakhiri patthar pe apna nam likhwaunga main

raftagan aaindagan ke darmiyan kya rabt hai
'mir' sahib se ye puchhunga to batlaunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close