meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam
kabhi intizar ki dhup si kabhi qurbaton ka koi bharam

teri chahaton ka ye silsila kisi dhup chhanw ke khel sa
kabhi pus magh ki dhup sa kabhi naghma-khwan kabhi chashm-e-nam

mujhe chhu ke waqt guzar gaya zara ruk ke umr nikal gai
jo raha to pas yahi raha kabhi apna dukh kabhi sab ka gham

kabhi raston ke ghubar mein kabhi manzilon ke khumar mein
kabhi justuju-e-bahaar mein rahe hadson se bandhe qadam

tera nam sun ke chali pawan tera zikr sun ke khila chaman
ki meri sawaneh-e-zist par tera nam likh ke ruka qalam

ye zara zara si shikayaten kahin ban na jaen hikayaten
yahi puchhte ki hua hai kya kabhi hum se tum kabhi tum se hum

kabhi qurbaton ka sukun mila kabhi furqaton ka junun mila
kabhi kho gae sabhi raste kabhi manzilon se mile qadam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close