mil bhi jata jo aab aab-e-baqa kya karte zindagi khud bhi thi jine ki saza kya karte sarhaden wo na sahi apni hadon se bahar jo bhi mumkin tha kya us ke siwa kya karte hum sarabon mein sada phul khilate guzre ye bhi tha aabla-pai ka sala kiya karte jis ko mauhum lakiron ka muraqqa kahiye lauh-e-dil par tha yahi naqsh-e-wafa kya karte ab wo shaalon ka qafas ho ki lahu ki khushbu dil pe lahraati rahi barq-e-ada kya karte mangne ko to yahan apne siwa kuchh bhi na tha lab pe aata bhi agar harf-e-dua kya karte hum ko khud arz-e-tamanna ka saliqa bhi na tha wo bhi 'tanwir' bhala uzr-e-jafa kya karte