mil-jul ke barahna jise duniya ne kiya hai

mil-jul ke barahna jise duniya ne kiya hai
us dard ne ab mera badan odh liya hai

main ret ke dariya pe khada soch raha hun
is shahr mein pani to yazidon ne piya hai

ai gor-kanon qabr ka de kar mujhe dhoka
tum ne to khalaon mein mujhe gad diya hai

main sahab-e-izzat hun meri lash na kholo
dastar ke purzon se kafan main ne siya hai

phaila hai tera karb 'qatil' aadhi sadi par
hairat hai ki tu itne baras kaise jiya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close