mil na pae kahin to hairat kya tum samundar hue na hum dariya mauj-dar-mauj hai yahi charcha kashtiyon se mila hai kyon dariya umr bhar ka hisab tha un se chand lamhon mein puchhte kya kya mere ghar ka charagh bujhte hi chadh gaya kitna bhaw suraj ka tishna-lab hun koi faqir nahin mat hiqarat se dekh ai dariya puchh baithe jo kya diya tu ne zindagi ka utar gaya chehra sab ki duniya tabah karte ho tum bhi kya ho gae ho amrika muddaton se talash mein hun 'fahim' kho gaya hai kahan mera chehra