mila-dila sahi ek khushk haar baqi hai abhi bahaar-e-shikast-e-bahaar baqi hai nazar sanwar chuki kitne aaina-khane usi tarah hawas-e-did-e-yar baqi hai bichhauna kanton ka hai phir bhi aai jati hai nind abhi tasawwur-e-zanu-e-yar baqi hai shikast-e-ahd ke kyun hon na silsile qaem ek aasra pas-e-har-e'tibar baqi hai qafas mein fursat-e-fikr-e-chaman-taraaz kahan yahi bahut hai khayal-e-bahaar baqi hai wo aankhen bhi khulin badli jo waqt ne karwat idhar nahin ab idhar intizar baqi hai ye ruh-o-tan ki judai ka marsiya kab tak wahi do-rangi-e-lail-o-nahaar baqi hai chaman to nim-nigahi ne kar diya taqsim khuda-e-waqt koi aur war baqi hai 'siraj' ab bhi ye aqlim-e-rang-o-bu hai bahut luti-lutai hui jo bahaar baqi hai