mila hai kaisa tere eatibar ka mausam

mila hai kaisa tere eatibar ka mausam
ki jaise chaaron taraf hai bahaar ka mausam

utarti jati hain kheton mein yaad ki chidiyan
nikhar raha hai mere sabza-zar ka mausam

kuchh aise mauj-e-saba ne chhua hai galon ko
ki dil mein khilne laga barg-o-bar ka mausam

nai ruton mein malenge usi jagah hum tum
sanbhaal rakhna mere yar pyar ka mausam

nikharti dhup thi ujle the mere sham-o-sahar
kahan se aaya hai gard-o-ghubar ka mausam

abhi to ujla hai aangan gulab taza hain
guzar hi jae na qaul-o-qarar ka mausam

kuchh aur konplen phutengi phul aaenge
naya naya hai abhi shakh-sar ka mausam

har ek shakh pe chandi hai khil rahi ehsan
gulon pe aaya hai sola-singhaar ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close