mila na lafz-e-musibat ko sargirani se

mila na lafz-e-musibat ko sargirani se
maani khulne nahin mere tarjumani se

hamari nabz mein jumbish hai panch hijr ke baad
hamara ishq purana hai raegani se

so umr bhar mein kisi ko samajh nahin aaya
juda rakha gaya mujh ko mere maani se

kabhi sarab se uthta hua hi mil jaun
kabhi kabhi to hai mumkin milun na pani se

lihaza markazi kirdar ban gaya hun main
mujhe nikal na paoge ab kahani se

ba-ehtiyat use soche ho gaya arsa
wo mere dhyan mein aaya hai be-dhiyani se

tujhe ghazal mein pirona hai shaghl ghaalib ka
ki tera naqsh banega to sirf mani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close