mile kuchh ishq mein itna qarar kam-az-kam hamare chehron pe aae nikhaar kam-az-kam sunai dene lage us ki dhadkanon se sada kisi se itna to ho hum ko pyar kam-az-kam hum apne khwab ki tabir kuchh nikalen kya ki ek lamha to ho paedar kam-az-kam mere chaman mein khizan rakh chuki qadam lekin mere khayal ko milti bahaar kam-az-kam tamam umr ki naqadi mein dekhiye sahab do-chaar lamhe to hon khush-gawar kam-az-kam chuni wo rahguzar jis taraf nahin jaana ho apne dil pe hamein ikhtiyar kam-se-kam hum us ki yaad ko rakh kar sirhane baithe hain kisi tarah to kate intizar kam-az-kam ik-adh shakhs aziyyat-pasand hai lekin tumhaara hijr kare e'tibar kam-az-kam