milega is ka mujhe kya utha ke laya hun purane waqt ka sikka utha ke laya hun tumhaari tishnagi dekhi nahin gai mujh se main apni ok mein dariya utha ke laya hun shab-e-siyah mein kuchh to mujhe suhulat ho kisi ki yaad ka tara utha ke laya hun jo ho sake to zara mukhtalif bana ab ke main qasr-e-zat ka malba utha ke laya hun ye pyas ilm ki kuchh to bujhaiye sahab bade jatan se main basta utha ke laya hun hawale dhup ke jis ne mujhe kiya ek din usi ke waste saya utha ke laya hun tamam ashk sarabon mein dhal gae 'arshad' shikasta aankh mein sahra utha ke laya hun