milon ke shahr mein ghatta hua din sochta hoga dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga agar mar kar phir uthna hai to marne ki khushi kya hai badan khone ka gham jine ki khushiyon se siwa hoga suna hai ye zamin udti phiregi rui ki surat tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga main chidiyon ko ulajhte dekh kar ladta samajhta hun magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai magar ek roz mera jism thanda pad gaya hoga mujhe khushbu lapete jism kuchh achchhe nahin lagte magar us ko mera khali badan bhi katta hoga