misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha

misal-e-aks mere aaine mein dhalta raha
wo khadd-o-khal bhi apne magar badalta raha

main pattharon pe giri aur khud sambhal bhi gai
wo khamushi se mere sath sath chalta raha

ujala hote hi kaise use bujhaungi
agar charagh mera ta-ba-subh jalta raha

main us ke mani o maqsad ke sang chunti rahi
wo ek harf jo ehsas ko kuchalta raha

zamin khulus ki mitti se be-niyaz rahi
rifaqaton ka shajar wahimon pe palta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close