misal-e-khwab hamesha kisi safar mein rahe hum apni nind mein bhi us ki rahguzar mein rahe kisi ki yaad ke baadal barasne wale the bahut kharab tha mausam so aaj ghar mein rahe tamam umr usi jism se shikayat thi tamam umr usi jism ke khandar mein rahe mata-e-dard ko aakhir kahan kahan rakhte so mere ganj-e-giran-maya-e-hunar mein rahe ye zindagi hai 'qamar' ya ki jangalon ka safar har ek lamha yahan rah-e-pur-khatar mein rahe