misal-e-mauja-e-KHusbu bikhar gae mere din

misal-e-mauja-e-khusbu bikhar gae mere din
guzar gain meri raaten guzar gae mere din

dua-e-nim-shabi be-asar gai meri
tumhaare hote hue be-samar gae mere din

jawab arz-o-sama se na ban pada koi
main un se puchh raha tha kidhar gae mere din

bas ek bar mohabbat se dil hua khali
phir us ke baad udasi se bhar gae mere din

main mubtala-e-gham-e-raftagan hua aisa
mujhe khabar na hue aur mar gae mere din

yahi malal mujhe subh-o-sham lahaq hai
mere sabaat se kaise mukar gae mere din

wafur-e-hijr hadon se guzar gaya tha 'naim'
mujhi pe dekhiye ilzam dhar gae mere din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close