misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun

misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun
tumhaare sath giraftar-e-haal apna hun

sarishk-e-surkh ko jata hun jo piye har-dam
lahu ka pyasa ali-ul-ittisal apna hun

agarche nasha hun sab mein kham jahan mein leak
ba-rang-e-mai araq-e-infial apna hun

meri numud ne mujh ko kya barabar khak
main naqsh-e-pa ki tarah paemal apna hun

hui hai zindagi dushwar mushkil aasan kar
phirun chalun to hun par main wabaal apna hun

tera hai wahm ki ye na-tawan hai jame mein
wagarna main nahin ab ek khayal apna hun

bala hui hai meri go ka tab-e-raushan mir
hun aaftab wa-lekin zawal apna hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close