mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai

mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai
ab to chalna hi padega rasta jaisa bhi hai

kis liye sar ko jhukaen ajnabi ke samne
us se hum waqif to hain apna khuda jaisa bhi hai

kis ko fursat thi hujum-e-shauq mein jo sochta
dil ne us ko chun liya wo bewafa jaisa bhi hai

sari duniya mein wo mere waste bas ek hai
phul sa chehra hai wo ya chand sa jaisa bhi hai

fasl-e-gul mein bhi dikhata hai khizan-dida-darakht
tut kar dene pe aae to ghata jaisa bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close