misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain chand saat rahenge chale jaenge sar-garan aae hain sham-e-azurdagi ke satae hue chot khae hue mehrban ho ke mil hum bahut aaj na-shadman aae hain ishq karna jo sikha to duniya baratne ka fan aa gaya karobar-e-junun aa gaya hai to kar-e-jahan aae hain zakhm khulne lage phir ubharne lagin dil ki mahrumiyan yaad phir tere andaz-e-dildari-e-jism-o-jaan aae hain dastan-e-shab-e-hijr un ko sunane ka din ye nahin mahfil-e-ishq mein aaj hi to wo kuchh mehrban aae hain