misl-e-KHushbu har anjuman mein rahe

misl-e-khushbu har anjuman mein rahe
phul ki tarah hum chaman mein rahe

din nikalte hi roz ran mein rahe
apne hi ghar mein hum kafan mein rahe

sazishon se wo baz aae nahin
hum usulon ki bas ghutan mein rahe

yaad kuchh to rahe tujhe hum bhi
tere mathe ki har shikan mein rahe

rang-e-duniya mein kho gae tum to
hum usi sada pairahan mein rahe

ho gae hum lahuluhan magar
hausle dil ke har thakan mein rahe

ab ki tahzib hi nirali hai
shahd honton pe zahr man mein rahe

kitne chaalak hain wo aur 'hakim'
hum ki bebak bhole-pan mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close