misl-e-raqs-e-sharar nahin aati zindagi laut kar nahin aati dil-dahi ka to koi saman kar dilrubai agar nahin aati hijr mein maut dhundhne wale aisi shab ki sahar nahin aati dil ko de kar fareb-e-shauq-o-talab ab tamanna nazar nahin aati ye tabiat hai hazrat-e-naseh ye samajh soch kar nahin aati aalam-e-be-dili se bhi yarab dil ki koi khabar nahin aati dard dil mein agar na ho ham-dam shairi umr-bhar nahin aati aadmi thokaren na khae agar zindagi rah par nahin aati ras aati nahin agar tadbir maut kyun chaaragar nahin aati apni haalat agar main khud na kahun kya unhen bhi nazar nahin aati tum ko aate hain sab jafa-o-jaur ek wafa hi magar nahin aati jis nazar se wo dekhte the kabhi wo nazar ab nazar nahin aati wae us zindagi ki mahrumi maut bhi umr-bhar nahin aati aah wo aarzu-e-dil 'sahir' ta-qayamat jo bar nahin aati