misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad dekh le mansur ne ji dar par ustad dad ishq hai ai dil kathin kuchh khana-e-khala nahin rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad dad ho nahin sakti hai jis ki gosh-zad fariyaad dad jis ne aabaadan mere dil ka nagar barbaad dad rashk-e-duniya hai kisi ne kyun barae chand roz zindagi apne tain afsos ya miad dad kis se ho sakta hai jo is ne kiya aalam ke sath surat-e-khaki mein kaisa kuchh dam-e-ijad dad khurram-o-khursand ek aalam hai par hairan hun main kyun mujhe khatir hazin hoe dil-e-nashad dad 'afridi' us shikar-andaz se kyunkar baje dam mein jis ke hai sab khilqat azan sayyaad dad