mit kar bhi gham-e-dost mein aaram na aaya had ho gai marna bhi mere kaam na aaya ushshaq ki qismat ko bura kahti hai duniya sad-shukr ki tum par koi ilzam na aaya har-chand baghawat pe ubhaara gham-e-dil ne lekin mere honton pe tera nam na aaya is mein bhi koi maslahat-e-pir-e-mughan thi mahfil mein jidhar hum the udhar jam na aaya kya ho gaya allah mera jazb-e-mohabbat muddat se koi dost ka paigham na aaya tartib diya jis ne mohabbat ka fasana us ka hi fasane mein kahin nam na aaya 'raunaq' nahin mahfil mein teri raunaq-e-mahfil kya baat hai kyon aaj wo nakaam na aaya