miTTi ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte hum

mitti ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte hum
mausam tha abr-o-baad ka ghar se nikalte hum

phir muntaqil hui hai badan se lahu ki aag
is sehr-gah-samt-o-safar se nikalte hum

nam-o-nasab ki dhund mein khoe hue hain sab
mahmez karte aur bhanwar se nikalte hum

tere baghair subh-o-masa ka hawala kya
is kar-gah sham-o-sahar se nikalte hum

tu muntakhab hai tujh se hai ye rang-o-bu tamam
han muntashir hain aib-o-hunar se nikalte hum

kaisa khala hai sina-e-insan mein khema-zan
is mawara-e-naqd-o-nazar se nikalte hum

jaulangah-e-nashat bhi thi gham bhi the 'khumar'
diwar-o-dar se shakh-o-shajar se nikalte hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close