mitti se mashwara na kar pani ka bhi kaha na man ai aatish-e-darun meri pabandi-e-hawa na man har ek lughat se mawara main hun ajab muhawara meri zaban mein padh mujhe duniya ka tarjuma na man zinda samaaton ka sog sunte kahan hain ab ye log tu bhi sadaen deta rah mujh ko bhi be-sada na man ya to wo aab ho bahut ya phir sarab ho bahut mitti ho jis ke jism mein us ko mera khuda na man tute hain mujh pe qahr bhi main ne piya hai zahr bhi meri zaban-e-talkh ka itna bhi ab bura na man bas ek did bhar ka hai phir to ye waqfa-e-hayat un ke qarib ja magar aankhon ki iltija na man