mohabbat aap apni tarjuman hai

mohabbat aap apni tarjuman hai
yahi khud chashm o dil lafz o bayan hai

nigahon mein bahaar-e-jawedan hai
jahan main hun wahin ab aashiyan hai

mohabbat donon jaanib mehrban hai
ki hum us se wo hum se bad-guman hai

wo kab se muztarib hain ai gham-e-ishq
khuda jaane teri ghairat kahan hai

hamari rifaton ka puchhna kya
jahan hum panw rakh den aasman hai

koi aawaz hi de gum-shuda dil
kahan hai o mere yusuf kahan hai

agar tu hai to ai jaan-e-do-alam
yahan har shai jawan jawedan hai

maze soz-e-darun ke mil rahe hain
ba-hamd-o-lillah ki dil aatish-ba-jaan hai

tamasha didani hai dekh jao
zaban-e-shauq o gulbang fughan hai

mubarakbaad ai jazb-e-mohabbat
unhen apne par ab mera guman hai

kisi ko ek nazar hi dekh to len
ab itni bhi hamein jurat kahan hai

tere naqsh-e-qadam ka zarra zarra
ibaadat-gah-e-jaan-e-ashiqan hai

ilahi khair karna der se phir
bahut muztar nigah-e-raazdan hai

phunka jata hai dil jis soz-e-gham se
jahannam mein ye chingari kahan hai

jo padh sakta hai to padh ai gham-e-dil
ki in nazron mein aaj ek dastan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close