mohabbat chaara-saz-e-dard-e-furqat hoti jati hai

mohabbat chaara-saz-e-dard-e-furqat hoti jati hai
meri wahshat mujhe saman-e-rahat hoti jati hai

udhar wo munfail nazren idhar ye muztarib nale
nadamat hoti jati hai shikayat hoti jati hai

nazar aate hain wo aamada-e-lutf-o-karam khud hi
mujhe bhi aaj arz-e-gham ki himmat hoti jati hai

jabin khud aastan-e-bandagi ko dhundh leti hai
mohabbat khud nahin hoti mohabbat hoti jati hai

nahin khulta ye uqda josh-e-wahshat mein nahin khulta
ki kyon bezar manzil se tabiat hoti jati hai

kisi ne yaad farmaya hai kya phir apni mahfil mein
ki az-khud baithe baithe ghair haalat hoti jati hai

chali aati hain paiham hichkiyan bimar-e-ulfat ko
murattab khud-bakhud gham ki hikayat hoti jati hai

shikayat ishq ko hai husn ke paiham taghaful ki
qayamat mein ye ek taza qayamat hoti jati hai

murattab ho gai fard-e-amal yun khud-bakhud 'kaukab'
mere diwan-e-sheri ki kitabat hoti jati he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close